بحرِ بیکراں

زاہد اکرام کے قلم سے

وحی اورمادیت پرستی



Char Soo Iztraab-o-Shorash Hay Berpa
Dunya Ko Banaye Aman-o-Sakoon Ka Gosha
Milat ko Hay Firdos-e-Gumgashta Ki Tamenna
Madiyat Ko Chahye Nizam-e-Adel Ka Lasha


Sadiyoon Say Milat Ko Iztraab
Kerwatain Lay Raha Inqlaab
Zulm Ki Tareeki Khatam Honay Ko Hay
Subhe Noor Ho Roshan Poora Ho Khawab


La-Deeniyat Hay Tehzeeb-o-Siasat Peh Khanjer
Madah Paresti Karay Iqwam Ki Zarkhaizi Ko Banjer
Madar-e-Siasat Hain Inkay Qaomi Mafadaat
Kamzoor Iqwaam Ko Kha Kha Kay Kia Hay Pinjer


Madah Parestoon Ki Sirf Dunya Hay Jannat
Saz-o-Saman-e-Ishrat Se Inko Rahat
Ekhlaaqiyaat Say Moberaa Gumrahi Peh Gamzen
Tabae Zindgi Main Gum Nah Janay Akhratt


Maker-o-Faraib Ki Siasat Hay Char Soo
Nachorra Hay Kamzor-o-Na-Twaan Iqwaam Ka Lahoo
Loota Ban Kar Hamsafer Rahzen-o-Kazaak Nay
Gam Gusaar Katay Jaib Kon Karay Rafoo


Madiyat Ka Nazeryah Aish-o-Eshratt Khana Pina
Jaaiz-o-Na-Jaaiz, Khair-o-Sharr Say Kia Lena Dena
Nateeja Qalab-e-Viraan nsaan Hay Pareshaan
Zendagi Nahin Hay Jeenay Se Pehlay Mer Jaana


Khaliq Nay Ki Bil-Maqsad Takhleeq-e-Kainaat
Azeem Hikmat Keh Ma-Warrae Tasavurraat
Insaan Nahi Hay Faqat Paker-e-Aab-o-Gill
Dil-o-Damagh Main Chuppi Hay Insaani Zaat


Maqsood-e-Bilzaat Hay Keh Masjood-e-Khalaiq Ko Ho Aisa Shaoor
Zarray Zarray Main Wo Daikhay Poshida Jalwa-e-Toor
Hazratt-e-Insaan Ki Manzel-e-Maqsood Hay Elm-o-Aagehi
Ho Zoq-e-Perwaaz Tu Taskheer-e-Kainaat Nahin Tujh Say Door


La-Deen Ka Hasil-e-Elm Hay Iqdaar Ki Halaqatt
Bud Serat-o-Pust-Kerdaar HayJis Ki Haqeeqatt
Fisaad-e-Fil-Araz Saray Inkay Elm-o-Honarr
Aoroon Kay Liyay Wabaal-e-Jaan Khud Kay Liye Moseebatt


Wahi Say Elm-o-Honarr Paain Ejz-o-Inkasaree
Dukhi Insaaniyat Kay Liye Piyarr Aur Gum Gusaaree
Masjood-e-Khalaiq Ki Hain Kehkashain Gerd-e-Rah
Insaaniyat Kay Kiye Karo Nae Jahaan Ki Tiyaaree


La-Deniyat Main Phoonk Dalo Tum Wahi Ki Aakal
Khol Do Ramoz-e-Insaaniyat Kay Tamaam Band Kufal
Fikar-e-Inssani Lo Na Ho Jab Tak Wahi Ka Idraak
Jaaiz Samajhtay Rahain Gay Wahshee Masoomeen Ka Qatal


Mazloomeen Ko Dain Madded-e-Fi-Sabeel-Allah Jihaad
Do Tahafaz-e-Jaan-o-Maal Pakarr Mian Lao Sab Saiyaad
Madah Parestoon Say Bacha Lo Tum Amni Deen-o-Dunya
Muthidah Iqwam-e-Aalem Hi Hay Ser-Chushma-e-Fitna-o-Fasaad


Haqeeqat Pasand Rahay Hain Madha Parestee Say Bezaar
Haakmiyatt-e-Wahida-o-La-Shareek Kay Talebgaar-o-Parastgaar
Aik Ummat Ho Jao Muhammad (PBUH) Kay Dewano Parwano
Bano Aik Aalmi Qowatt Jo Zoq-e-Yaqeen Say Ho Sarshaar


Mared-e-Momin Bachao Lutti Putti Iqwaam Ki Ezzatt-o-Aabroo
La-Charo Muntasher HainJo Zulem-o-Istabdad Say Koo-Ba-Koo
Amni Qowatt Say Manwao Dunya Ko Aaeen-e-Sadaqatt
Taab-e-Wahi Ho Aakal Jo Karay Akhuwatt Ki Aarzoo


Momin Peh Hay Aalmi Insaaniyat Saaree Ka Farzah
Ishq Ko Sikhae Dilkashee-o-Jazbiyat Ka Neya Tareeqah
Izhaar-e-Jazbaat Kay Liye Vizah Karay Nae Asool
Photain Jis Say Elm-o-Hunnar Kay Ser-Chashmain Woh Saleeqah


Aalmi Insaaniyat Saz Elm-o-Hunnar Ka Sar-Chashmah Hay Wahi
Mared-e-Haq Nay Hay Pai Issi Say Haqeeqatt Ki Aagghi
Aalim-e-Mehsosaat Main Wadatt Ko Pa Lia Jis Deedah-Wer Nay
Iqwaam-e-Aalem Ki Woh karay Imamatt Sikhae Aadab-e-Bandgi


Haqeeqatt Main Doob Kar Tum Deen-e-Ibraheem Kay Diye Jillao
Tahzeeb-e-quraan Kay Ammeen Ho Tum Assae Musa (AS) Ko Aazmao
Yed-e-Bezaa Ko bana Kar Yed-ul-Allah Tum Sanbhalo Iqwaam-e-Aalem Ki Immatt
Ibn-e-Maryam (AS) Ki Terah Tum Bi Ab Murda Zameeroon Ko Jiggao


Ableesiat Kay Dam-e-Faraib Say Raho Tum Ba-Khabar
Dajaali Nizaam Hay Iqtasadi Galb-o-Tasalatt Ka Jabbar
Shah Babay Hain Sodagger Liye Khoae Shereen
Nigah Faraibi-o-Ehed Shakni Jhoot-o-Makkari Pur Khatar


Hamaray Sab Qudrati Wasail-o-Khazain Per Unki Nazar
Pitay Hain Yeh Hamara Lahoo Khaty Hamain Nooch Nooch Kar
Chalain Inkay Kaarkhanay Hamaray Hi Khaam Maal Say
Ham Kasay Aakal Kay Andhay Kayoonkar Anjaam Say Be-Khabar


Ho Jain Ham Aik Millat Wasail Sab Kay Mushterka Dolatt
Nizam-e-Aalmi Bait-ul-Maal Say Ho Har Ferd Ki Nashwonama Aur Kifalatt
Kisi Inssan Ko Nah Ho Koi Haq-e-Hakoomat Kisi Dosray Insaan Par
Chahite Faqet Aain-e-Wahi Ki Hakoomat Nah Badshahee Nah Jamhoriyatt

Invitation By نمائش مسجد نبوی

By the Grace of Almighty Allah, on 15th April 2017, I was invited in Saudi Arab as Guest of Honor by “The Holy Quran Exhibition” and “Asma-ul-Husna Exhibition”, both Exhibitions are located at Masjid-e-Nabwi (PBUH) Madinah Munawrah. The Official Urdu Facebook Page of نمائش مسجد نبوی  Published about my Visit and my introduction at https://web.facebook.com/Exhurdu/posts/1188045777985359?pnref=story
 اللہ پاک کےخصوصی کرم کی بدولت پندرہ اپریل ۲۰۱۷ کو مجھے سعودی عرب میں نمائش قرآنِ مجید اورنمائشِ اسماالحسنیٰ میں میں اعزازی مہمان کے طور پر مدعو کیا یہ دونوں ایگزیبیشن مسجد ِنبویﷺ مدینہ منورہ میں واقع ہیں. نمائشِ مسجدِ نبویﷺ نے اپنے آفیشل اردو فیس بک پیج پرمیر ے دورے کی تفصیلات اور میرا تعارف پیش کیا ہے

روضہِ رسولَ پاک ﷺ کی حاضری کے دوران میں نے پاکستان کے لئے نمائش قرآنِ مجید -  تحقیق و ترقی کا منصوبہ کا پلان تشکیل دیا ہے جہاں ایک عام آدمی ‘قرآن کے پیغام‘ کو سمجھنے کے لئیے داخل ہو گا۔ جہاں وہ تمام مضامین جن پراللہ نے انسان کو دعوتِ غوروفکر دی ہے وہ سب جدید سا ئنس اور قرآن پاک کی روشنی میں واضح کیے جائیں گے، خصوصی طور پر ہمیں دکھائی دینے والی کائنات میں اور خود نفسِ انسانی کے اندر پائے جانے والی اللہ کی تما م نشانیاں۔ یہ یقینی طور پرایک منفرد اور منطقی سوال وجواب کی نمائش ہو گی جو کہ انسان نے کبھی نہ دیکھی ہو اورجو زندگی بدلنے اور خیالات کوابھارنے میں مددگار ہو گی جو کہ تھری ڈی ماڈلنگ ،سیون ڈی ہولوگرام ٹیکنالوجی، آڈیو ویڈیو ملٹی میڈیا، تصاویر اور گرافکس، ٹچ سکرینز، انگریزی ارد و اور دوسری مختلف بین الاقوامی او ر علاقائی زبانوں میں وضاحت ، کیو آر لوگو سکین سمارٹ فونز پہ نمائش کی معلومات کو کھولنے اور شیئر کرنے کے لیئے۔ یہ نمائش اسلام کی روح کے عین مطابق اپنے حدف کو حاصل کرے گی جس کی تعلیمات سے تمام مسلمان اور غیر مسلمان اور ہمارے مستقبل میں آنے والی نسلیں سبھی فائدہ اٹھائیں گے ۔ انشا اللہ


 

Some Scientific ideas!

By Zahid Ikram
How can our past be seen?
Are we Living in Future?
How God Sees Our Present Past and Future?

Discover Q&A about Our Universe!


ہمارے بچپن سے ہمیں یہ سیکھایا جاتا ہے یہودی اور اسرائیل ہمارے سب سے بڑے دشمن ہیں

 کیا آپ واقعی اسرائیل اور اہلِ یہود کے بارے میں جانتے ہیں؟

Our Mission

My mission is to convey the message of Holy Quran by all means to common men. Since we as a Muslim we  use to teach our children how to read the Arabic of Quran, and our children become Hafiz e Quran without even knowing its meaning.  

Contact Us

zahid@findpk.com
+92 310 6577888